nothing important ... just a few things here and there.

Friday, April 22, 2005

My Fave URDU Poem

Voh Ghulaab Ban Kai Khilay Gha Kya:

Meray Saath Tum Bhe Dua Kero Yoon Kisi Kai Haq May Bura Na Ho
Kaheen Aur Ho Na Yeh Hadasah, Koi Raastay May Juda Na Ho

Ser-e-Shaam Thehri Hoie Zameen Jahan Aasman Hai Jhuka Howa
Isi Maur Per Meray Wastay Woh Charagh Lay Kai Kharra Na Ho

Meri Chat Say Raat Ki Saij Tak Koi Aansoun Ki Lakeer Hai
Zara Bharr Kay Chaand Sai Poochna Voh Isi Taraf Sai Gaya Na Ho

Mujhay Yoon Laga Kay Khamosh Khushboo Kay Hont Titlee Nay Choo Liay
Inheen Zard Patton Ki Aut May Koi Phool Soya Howa Na Ho

Isi Ikhtayat May Voh Raha Isi Ikhtayat May Mai Raha
Woh Kahan Kahan Meray Saath Hai Kisi Aur Ko Yeh Pata Na Ho

Voh Firishtay Aap Talash Kerain Kahaniyon Ki Kitaab May
Jo Bura Kahain Na Bura Sunain, Koi Shakhs In Sai Khafa Na Ho

Voh Firaaq Ho Kai Vasaal Ho Teri Aagh Mehkay Ghe Aik Din
Voh Gulaab Ban Kai Khilay Gha Kya Jo Charagh Ban Kai Jala Na Ho

© Writen By: Bashir Badar

0 Comments:

Post a Comment

<< Home